Intraday Trading Me Loss Kaise Control Kare? (Risk Management Guide 2026) Intraday trading me profit banana jitna important hai, usse zyada important hai loss cantrol karna Zyadatar beginners profit ke chakkar me risk management bhool jaate hain — aur wahi sabse badi galti hoti hai. Agar tum loss control karna seekh gaye, toh long term me profit automatically aayega Chalo simple points me samjhte hain 👇 Stock market trading aur strategies ke aur guides ke liye hamara homepage visit kare. https://www.stockmarketgyan.in/ 1️⃣ Stop Loss Lagana Mandatory Hai Intraday me bina stop loss trade karna matlab bina helmet bike chalana. Rule simple hai: Har trade me stop loss lagao Capital ka sirf 1–2% risk karo Example: Agar tumhara capital ₹10,000 hai, toh ek trade me ₹100–₹200 se zyada risk mat lo Isse ek galat trade tumhara account khali nahi karega. 2️⃣ Position Size Control Karo Bahut log pura paisa ek hi trade me daal dete hain ❌ Ye sabse dangerous habit hai. Sahi tarika: Total ...